Monday, May 9, 2011

Maqsood-e-zindagi (Aim of life via aims in life)...


Was going through my old diary entries and read this superb Faarsi (Persian) qalaam by Maulana Rumi Sahib...


Have put up a translation as per my li'l knowledge of Sufism. This is by no means accurate or authentic... Just a fragrance of my feelings and experiences... The qalaam flows as:


Shaad bashay ishq khush sauda'aye maa, Ae tabeeb-e-joomla-illat ha'aye maa...
(Khush raho ae Ishq hamare gham meiN kyuNki tum hamari har beemaari(pareshaani) ke tabeeb(doctor)/ilaaj ho... )
Jism khaaq az ishq bar aflaaq shud, Koh dar raqs aamad-o-chalaak shud...
(Khaak sa insaaN ka wajood ishq ki ba-daulat falak(aasmaaN) tak jaa pahuNchta hai aur pahaD ishq se itne hoshiyaar ho ja'atey haiN ke raqs(dance) karne lagtey haiN...)
Aqal aamad deen-o-duniya shud kharaab, Ishq aamad dard-o-aalam kaamya'ab...
(Jab aqal aayi tou deen aur duniya donoN hi kharaab hue matlabb main dono mein naa-kaamyaab rahaa aur ishq ke aatey hi dono jahaaN meiN kaamyaabi mil gayii...)

Zindagi aamad bara'aye bandagii, Zindagi be-bandagii sharmiNdagii...


The last two lines of this qalaam define "ecstatic bliss" for me... I take these as the motive of life...
Zindagi bandagii (ibaadat) ke liye milee hai, jiske baghair ye sharmiNdagii ke maaniNd hai... And this ibaadat here does not ask us to keep on worshiping Gods or idols... Whatever we do should be done if we perceive it as bandagii... Sums up success and perfection in life in a single sentence for me. Many such successes in small walks of life appear to me as the most probable way towards maqsood-e-zindagi... :-)

Allah Nigehba'an ..!

0  comments:

Followers (Ferromagnetic Friends ...)